LAMHE.........
"Kabhi lakho raaz chupate hai, kabhi nayi kahaniya sunate hai.
Andaaz zaroor alag alag se hote hai unke,par beete lamhe zindagi ko zindagi banate hai.
Kuch lamhe puraani diary ke panno me lipat kar, kahi kho se jaate hai.
Par jab kabhi bhi mulaqat hoti hai unse, khamakha, bewajah bht hasate hai.
Kabhi kabhi raat ki khamoshi me jab bechain sa rehta hai ye dil.
To kuch lamhe kisi ki yaad bankar use loriyan sunaate hai.
Jab mere PJs pe kisi ko hasi nhi aati, saale kuch lamhe tab had se zada yad aate hai.
Hasi se bhare khushi ke wo ek ek pal, mano mere aaj ko ek thenga sa dikhaate hai.
Wahi kuch lamhe bade shaitan se hote hai, lakh koshisho ke baad bhi baaz kaha aate hai.
Duniya bhar ke samoso me aaj bhi mujhe, wo apne canteen ki kahaniya sunaate hai.
Unse mulaqat kabhi kisi coffee table pe bhi ho jaati hai, tab har chuski ke saath saath mujhe wo apni xamz waali raato ki yaad dilate hai.
To koi bhaisaaab bade shaan se mere skul ke blazer ke pocket me chupkar, us shaam ki kahani chup chaap keh jaate hai.
Kuch lamhe aise bhi hote hai jo jab saame aate hai to aaine ki tarah mujhe khud se rubaru karwate hai.
Par kuch wo bhi lamhe hai jo zindagi ki is bhid me momo ke plate me rakhi chatni ki tarah unchooye se reh jaate hai.
Meri baaton pe agar yakeen na aaye tumko, toh ek jhalak kabhi aake dekh lena,
hum in lamho ke sahare ek ek pal kaise bitate hai.
Kabhi hasate hai,kabhi satate hai.
Par jo bhi ho yahi wo lamhe hai jo zindagi ko zindagi banate hai.!"